Engagement of My Cousin Rashi
Hello Friends,
Aaj meri cousin ki engagement thi toh main bhi waha gayi thi. Close relation hone ke kaaran meri aunt ne mujhe one week pehle hi bol diya tha ke mujhe time se aana hai, Aaj fir morning mein unka phone aa gaya, ke jaldi aa jao. Main bhi soch rahi thi ke aakhir itni jaldi kyon bula rahe hain mujhe. Program toh unke ghar pe hi hai, kahin jana bhi nahi, Fir bhi jaldi kyon? Chalo maine bhi jyada behas nahi ki aur maa ko bol diya ke main pehle chali jati hoon. Baki sab baad mein aana. Maa maan bhi gayi.
Chalo main 10 baje cousin ke ghar pahuch gayi. Mere pados mein Sharma uncle ne mujhe drop kar diya tha, kyon ki cousin ka ghar unke office ke raaste mein padta tha. Maine dekha meri cousin ka ghar bohat saja hua tha. Ghar ke bafar kai jagah toh abhi decoration ka kaam chal raha tha. Workers aur decorators apna apna kaam kar rahe they. Meri aunt mujhe lene bahar hi aa gayi. Hum andar gaye toh meri cousin mujhe dekh ke bohat khush go gayi. Hum sab drawing room mein baith gaye toh khana peena aur baatein shuru ho gayi. Shopping ki baatein, dresses ki baatein, make-up, beauty parlor aur bohat kuchh. Meri aunt ne mujeh bataya ke unhone ne professional mehandi lagane wale ko bulaya hua hai, sab girls ko mehandi lagane ke liye. Par maine kaha ke mujhe toh khud mehandi lagana aata hai bohat achhe se. Rashi ne bhi bataya apni mom ko ke mujhe school mei kai prize mil chuke hain Mehandi Competition mein. Yaha main aap sab ko bata du ke meri jis cousin ki engagement thi, uska naam Rashi hain. Mujhse badi hai woh age mein aur usne MBA ki hui hai.
Friends, main apni agli post mein aap sab ko bataugi mehandi kaise kagayi jati hai, new designs ke sath. Abhi baki baate baad mein karege.
Bye till then. Love you all. :)
Post a Comment Blogger Facebook